Posts

Showing posts from April, 2022

Dar e Nabi Par Ye Umar

 Dar e Nabi Par Ye Umar Bite  Ho Mujhpe Lutf e Dawaam Aisa Meri jan Madina Dil ka jan Madina Ankhom ka tara madina Sab ka Sahara Madina Sarkar ka Madina2 Maadine Waale KaaHain Maaqaami  Ho Unke Daar Par Qaayaam Aisa *************** Namaaz Aqsaa Main Jab Parhaayee  To Ambiyaa aur Rusul Yeh Bole Namaaz Ho To  Namaaz Aesi  Imaam Ho To Imaam Aisa *** Bilal Tuj Par Nisar Javoon  Ke Khud Nabi Ne Tujhe Kharida Nasib Ho To Nasib Aisa  Ghulaam Ho To Bilal jaisa *** Laabon pe Nam-e-Naabi Jab Aayaa Guraaiz Pan Haadson Ko Paayaa Jo Tal Detaa Hai Mushkilon Ko Mere Nabi Kaa Hai Nam Aisa **** Mujhi ko Dekho Woh Betalab hi Nawaazte Jaa Rahe Hain Paihum Na Mera Koi Amal Hai Aisa Naa Meraa Koi Hai Kaaaam Aisa *** Hain Jitne Aql-o-Khirad ke Dawe Sab Unki Gard-e-Safar Main Gum Hain Koi Bhi Ab Tak Samajh Naa Paayaa, Hai Mustafaa Kaa Maqaam Aisa ****** Main Khaalid APne Nabi Pe Qurbaan Hai Jis kaa Khulq-e-Azeem Quraa’n Salaamti Ki Jo Hai Zamaanat Woh Le ke Aaaye Nizaam...

Dare nabi par para rahoon ga

  Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga Khilafe maashooq kuch huwa hai, na koi aashiq se kaam hoga Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil, jidhar woh aali maqam hoga Kiye hi jaoon ga arz matlab, milega jab tak na dil ka matlab Na shaam e matlab ki subha hogi, na yeh fasana tamam hoga Jo dil se hai ma’il-e-payambar, yeh is ki pehchan hai muqarrar Ke har dam is be nawa ke lab par, durood hoga salam hoga Isi tawaqqo pe ji raha hoon, yehi tamanna jila rahi hai Nigahe lutfo karam na hogi, to mujh ko jeena haram hoga Dare nabi par para rahoon ga, parre hi rehne se kaam hoga Kabhi to qismat khule gi meri, kabhi to mera salam hoga